Tuesday, November 14, 2006

Thinking over the title..

Door falak mei chamak raha hai, wo banke raja raat ka...
Kya mujhe mil sakta hai, bas ek tukda chaand ka..?

Chaaro taraf bikhre huye hain, banke guroor aasmaan ka...
Kya mujhe mil sakta hai, ek taara mere naam ka..?

Kab se dhoondna chaah rahi hoon, aks apni pehchaan ka..
Kya mujhe mil sakta hai, mauka khud se mulaakat ka..?

Na kisi cheez ka gham hai mujhe, na asar hai ye pyaar ka..
Kya mujhe mil sakta hai, ek naam is ehsaas ka..?

Jahaan dard ka naam na ho, na koi bhed ho din raat ka..
Kya mujhe mil sakta hai, ek jahaan mere khwaab ka..?

Padhkar ye mat udaane lagna, mazaak mere jazbaat ka..
Bhala kabhi mil sakta hai, matlab har ik baat ka..?? :D :D :D



4 comments:

Gaurav said...

mast !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Ankit Agarwal said...

hmmm.....hope for a more +ive expression aftr d hols bk home.

Anonymous said...

jhakaas likha hai meri auntie..hw do u reme such tough hindi wrds..:D:D..hindi vocab book hai kya;)

Anonymous said...

instead of writing "Thinking over the title" u should write it as " Kya mujhe mil sakta hai title is poem ka?" :)
btw... nice one